Kya hai Nazm?

Kya hai Nazm?

A Poem by Happy hours
"

A hindi poem on the meaning/importance of Nazm for me.

"
Puche jo mujhse kabhi koi kya hai nazm
Behti hui nadi ki raftaar hai nazm
Dil ke tukdo se taar taar hai nazm
Ek shayar ka pyaar hai nazm

Ankaha sa darz hua andaaz hai nazm
Meelo door dard jhaak le aisa baaz hai nazm
Malhar sa chehekta hua saaz hai nazm
Kisi ki zubaan toh kisi ki awaaz hai nazm

Zindagi ka woh sahara hai nazm
Na hokar bhi jo humara hai, nazm
Galiyo se guzarta woh awara hai nazm
Thoda meetha sa thoda khara hai nazm

Os me mili hui hawa hai nazm
Dard-e-dil ki dawa hai nazm
Kabhi purana sa kabhi naya sa
Zarre zarre me rawa hai nazm

Pyaar ka rumani geet hai nazm
Aashiq ki jung me jeet hai nazm
Har rang me ghuli hai nazm
Har tarah ke paani se dhuli hai nazm



Puche jo mujhse kabhi koi kya hai nazm

© 2016 Happy hours


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

163 Views
Added on December 13, 2016
Last Updated on December 13, 2016

Author

Happy hours
Happy hours

Lucknow, Uttar Pradesh, India



About
Life is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..

Writing
Rigid Rigid

A Poem by Happy hours