MY NOSTALGIC LIFE

MY NOSTALGIC LIFE

A Poem by A Jainam Mehta
"

This is my very first poem written in Hindi language. I wrote this 2 years before. It is about some sorrowful incidents of my life written in a comic manner including some satires and messages on life

"
Is duniya me aakar muje kya mila he 
Par na koi shikwa he na koi gila he 
Bachpan me jabhi kabhi manga khilona 
Padhai me 1st rank ka order mila he 
Gaadi mangta to cycle milti 
Paise mangta to kehte “teri kamzor he ginti” 
Zubaan ko pyara kuch fast food kya khata 
Daat aur davaiyo ka daur chala he 
Band karna padta fast food khana 
Log kehte “khichdi khane me hi tera bhala he” 
Baat baat pe maar khata 
Seh liya majburi he 
Milunga bada hoke sab ko aakar 
“tab mujse darna zaruri he” 
Is duniya me aakar muje kya mila he ? 
Par na koi shikwa he na koi gila he 

Train me dekha tha use pehli baar 
Kya batau jo dil ka haal hua he 
Raja ko rani aur andhe ko kani 
Mil jaye esa ehsaas hua he 
Maasum dil to bachha tha bichara 
Maan betha use bhi pyaar hua he 
Na me use keh paya, shayad wo bhi kehne se darti 
Dekha jab usne muskurake, hil gayi kadmo tale dharti 
Utar gayi station pe kaha na jane 
so gaya tha me, laga pachtane 
kya batau tab mere dard-e-dil ka dukh 
mangvali garam cutles lagi thi zor ki bhukh 
phir ek ladki train me bethi-dhadka phir jiya he 
takdir ne dil se kesa mazak kiya he 
Is duniya me aakar muje kya mila he ? 
Par na koi shikwa he na koi gila he 


Socha science lena meri bahduri thi 
Lekin tabse P-C-M ne mujpe hamla bola he 
Fail hona kesa lagta he pehli baar 
Bina jane log kehte “ye ladka to chalu-chila he” 
Samaj nahi aati thi trigonometry aur ohm’s law 
Ye sodium tetra oxide kaha se nikla he 
Phir to chod diya syllabus ko bhagwan bharose 
Khane laga dosto ke sath khaman-samose 
Jumte-haste-gaate dosto ka, roz lag jata mela he 
Achanak se aaya board ka result “bhawan teri kesi leela he” 
Is duniya me aakar muje kya mila he ? 
Par na koi shikwa he na koi gila he. 

Jigari dost gaye apne raste, rishte-naate todke, 
“ab to apne bhi chale jaate he muh mod ke” 
Mene bhi socha- faltu waqt kyu gawana 
Nahi hoti dosti, nahi hota yaarana. 
College me socha tha “apne kaam se kaam rakhunga” 
Log kehte the “iska screw dhila he” 
1st Xam me 1st aya to kehne lage “bada talented nikla he” 
Ye duniya ka reewaz he dosto, 
Jo upar pohcha usi ko salaam mila he. 
Zameen pe bethe laachar ko koi nahi puchta, 
Ki waha sukha he ya gila he. 
Wo kaamyabi to sirf do pal ki thi, 
Wo picture nahi sirf trailer he. 
Dukh hi jivan ka satya he 
"Success" k pehle ata “failure" he 
Is duniya me aakar muje kya mila he ? 
Par na koi shikwa he na koi gila he. 

Chahkar na chute musibato se nata kabhi 
Chalta rehta problems ka sil-sila he 
Ek aur uljan ki baji ganti tabhi 
Suna professor ko bhi mera hi surname mila he 
Baat-baat pe dhamki deta ‘parents bulaunga’ 
Ek hath se taali bajakar ‘indirectly sataunga’ 
‘Less attendance’ ke naam par din me tare dikhata 
Jese wo sher he- hum darpok billa he 
Na padhata office me betha rehta 
Jese wo shah-jahan aur college lal-quila he 
Is duniya me aakar muje kya mila he ? 
Par na koi shikwa he na koi gila he. 

Japan ko mitane wali bhukamp tsunami; 
Kalyug me to se sab purani kahani. 
Mere life me ese hadse hote jani; 
Ab to thak gaya bar-bar yad karke nani. 
Bina takleef ke na je sakega, 
Na koi kabhi jiya he. 
Sukun se do pal sone ko na milta 
Ye muje kesa jivan diya he. 
Sabke chehre pe ek nakli mukhota; 
Na koi munni na koi sheela he…! 
Is duniya me sabhi dhongi 
Chahe majnu he ya lela he 
India world cup-2011 jita 
Par usme apne ko kya mila he…! 
Apni to wahi Sali boring life 
Lagta he muje mere hi paapo ka faal mila he….! 
Is duniya me aakar muje kya mila he ? 
Par na koi shikwa he na koi gila he. 

Meri baato se demotivate mat hona yaaro 
Ye to sirf maan halka karne ka zariya he 
Hum kyu tension le- duniya rangeen he 
Gundo me fasi hui to razia he. 
-----JM ( Jainam Mehta)

© 2012 A Jainam Mehta


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

1668 Views
Added on June 24, 2012
Last Updated on June 24, 2012

Author

A Jainam Mehta
A Jainam Mehta

Surat, Gujarat, India



About
By proffesion I'm a Civil Engineer. Its my hobby to write poems on the genres like philosophy, emotional, comedy, satire with humour, current affairs, Self, etc. >I love to Laugh. >I Don't like pr.. more..

Writing