Maa...Meri koi galti nahi thi

Maa...Meri koi galti nahi thi

A Poem by Palak_shah_
"

A poem which is directly related to the current situation of girls. Written by me

"
Main toh yunhi Roz ki tarah school ki or jaa rahi thi,
Na jaane kyu us din woh chauraahe par khade uncle ki Nazar mujhpar tiki thi😷
Na jaane kyu maa unki Nazar mujhe pareshaan kar rahi thi....
Maa..Meri koi galti nahi thi!!

Main toh yunhi Roz ki tarah office se ghar aa rahi thi,
Na jaane kyu bus mein piche baithe uss admi ki hateli mujhe Baar Baar Choo Rahi thi😕
Naa jaane kyu maa dekh kar bhi sabhi ki Nazar woh sab undekha kar rahi thi...
Maa..Meri koi galti nahi thi!!

Kyun raat ke waqt main bahaar nahi Nikal Sakti
Aur
Bhaiya saari raat bhi Baha reh sakte hai
Kyu bhai Ko apni Bike mil jaati hai,,
Aur mujhe Abhi bhi papa chodne aate hai
Aisa kyu maa�'�
Meri koi galti nahi thi.

Kyun ham ladkiyon Ko janm lene se pehle maar diya jaata hai😢
Kyun ham ladkiyon Ko pehele hi kamzor zaahir kar diya jaata hai.

Aisa kyun kehte hai ki 'Beti Bachao,Beti Padhao'
Aisa kyun nahi kehte ki 'Beti Ko Aurat ki izzat karna sikhao'..
Maa.....
Kya sachme hamari koi galti thi?

© 2018 Palak_shah_


Author's Note

Palak_shah_
Kindly review what you think about the topic I told about
If you loved my poem then Thank you

My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

[send message][befriend] Subscribe
¿
Bohot kamal soch pesh kiya hai aapne....it's a must to say for me...
Just a thing on which I got confused is the last quote...is it "beti ko aurat ki" or "beto ko aurat ki"? It can be my mistake on understanding...but thanks for this great thoughtful piece😊

Posted 5 Years Ago


Wow😍...kya baat Hai...
Bahut din bad Hindi padhne ko Mila writerscafe pe..
Bahut badhiya..
Keep writing..
Keep sharing..

Posted 5 Years Ago


Wow! Very nice poem dear! An eye opener. Keep going

Posted 5 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

153 Views
3 Reviews
Rating
Added on June 27, 2018
Last Updated on June 27, 2018

Author

Palak_shah_
Palak_shah_

Mumbai, Virar, India



About
A Dreamer 😗 A girl with deep thoughts ☺ Name:Palak Shah Studies in 10 std more..