Kavi

Kavi

A Poem by Mahi sain(Mahesh)
"

Aaj is kavita ko likhna ka mahtav kuchh nahi hai Lekin bauthe baithe bor raha tha to socha kya likhu Phir ant me ye sab yaad aaya likhnr ko ki kyu na aaj khud kavi par kuchh likha jaay

"
Jab sota hai jahaan ye saara
Tab kahi koi jagta hai 

Hota hai kuchh kahane ko aatur
par lab gumsum sa rahta hai 

sabd umadte hai man me 
saar Nahi koi banata hai 

sunte hai bas saade panne
koi nahi jab sunata hai 

Dard utarane lagta hai in par
ak kaarava chal padta hai 

Bharne lagta hai galaa
moti sa bah chalata hai 

deta hai phir vo ak naam inhe
jise har koi kavita kahta hai

© 2019 Mahi sain(Mahesh)


Author's Note

Mahi sain(Mahesh)
dosto ye jindgi ak paheli hai is aap samjoge tab tak der ho jaayegi
Isiliye jindgi ka asli mahtav jaankar jindgi jeene lag jaao
Aur haa apna feedback jarur dena

My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

17 Views
Added on August 20, 2019
Last Updated on August 20, 2019