Aks-E-Khuda

Aks-E-Khuda

A Poem by Nami FallingDewdrops
"

For an angel....

"
meri zindagi ke har pehlu mein
tera hi aksh samaya
tune hai mujhe banaya
is dil ko samhalna sikhaya...

pehlu ki shuruat-e-kashish main kuch yun likhti hoon..
mera vajood teri hi to parchai hai.
aankhon mein jo noor hai
sirf ehsaas tera hai.

Jab bhi ye dil udas hota hai
tu sada mere sath hoti hai
ghum yun gehrata nahi jab us raste par
tu mera hanth thamti hai.

jab gaheen anshera chata hai
manjil se dur kahin main bhatakti hu..
pareshan...udas hairaan
tera ek ehsaas mere dil mein sukoon bhar jata hai.

Manjilein na sahi par tu mujhe woh raah dikhati hai..
uspar chalna sikhati hai
lagta hai jaise koi toh hai
jise hai mujhme bharosa bada.

tu ek ehsaas ki tarah mere sath raha hai sada..

ek choti si aah mere muh se
tere dil ko tadpa jaati hai
us pyaar ka kya shukriya karoon
jo tune mujhe diya.

tujhe agar khuda kahoon toh bhi kam hai
kyunki woh tera aksh hai ya tu uska
jaanna mushkil hai mere liye.

meri zindagi ke har pehlu mein
tera hi Aks samaya hai..
tune hai mujhe banaya
mushilo mein is dil ko samhalna sikhaya... maa!!

© 2014 Nami FallingDewdrops


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

171 Views
Added on March 23, 2014
Last Updated on March 23, 2014
Tags: mom, love

Author

Nami FallingDewdrops
Nami FallingDewdrops

India



About
I really enjoy watching Animes.. Reading and Writing novels and poems too .... more..

Writing