Tumhare Paas

Tumhare Paas

A Poem by Shweta
"

This is in Hindi.

"
kya main theher sakti hun thodi der?
kya main reh sakti hun thodi der?
kya main un mashroofiyat se tumhare din me se
thoda sa waqt le sakti hun?
kya main reh sakti hun tumhare paas abhi ke liye?
kya tum mujhe mehez kuchh der ke liye
apni duniya me le ja sakte ho?
kya is duniya ko chutki me apni duniya bana sakte ho?
Mujhe pata hai aisa nahi ho sakta
Mujhe yeh bhi pata hai yeh jagah sirf waqt pe qayam hai
Mujhe pata hai ki yahan koi jageh nahi humari saath mein
Par kya wakayi meri dhadkano ka mol matlab nahi?
kya yeh yun hi kuchh alag chalti hain?
kaash main kahin or
ek humari duniya mein hoti
jahan na naam ho na akhri naam
na rang na kaya
na fizuli kayda
na taur tareeke zaruri
bss mann ho zaruri
jahan rooh ho zaruri
nafrat nahi

© 2018 Shweta


Know That I Too
We are never alone (a poem for mental health month)
Advertise Here
Want to advertise here? Get started for as little as $5

My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

[send message][befriend] Subscribe
¿
Aasman ke pare ek jahan hai kahin, jhoot sach ka waha kayda hi nahi!! Tumhari poem padke ye gun gunane mann hua!!
Truly if life had given chance to design everyone's particular universe.....I would've designed my interior just like this piece!!
Shukriya share karne ke liye😊

Posted 5 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

71 Views
1 Review
Added on May 5, 2018
Last Updated on May 5, 2018
Tags: pure love, friendship