KI HUMSAFAR ZARORI HAIN

KI HUMSAFAR ZARORI HAIN

A Poem by ayan ali dar

Humein apna ke thukrana kaha ki reet hai dilbar,

bhatak jao ge tanha rasto'n mein ki humsafar zarori hai,

tumhein baharo se fizao se nazaro se mohabbat hai,

yu ulfat k ashakbaaro ki himayat bhi zarori hai,

na mai khankaho ka talib,masaratt be'khabr humse,

hain roothi zindagi mujhse to manana b zarori hai,,

hai aaraish tumse hi rukbat aur adawat bhi,

yaha gir gir ke log sambltey hain sahare bhi zarori hai,

mujhe azad karna tha,mujhe barbaad karna tha,

kiye jo ahed-e-wafa tum ne nibhana bhi zarori hai,

mai bhatka aisa rahi hu mujhe raston ne yu sataya hai,

pal pal kismat pe apni roya hu ajal-tera aana ab zarori hai,,

aqeedat kyn kare koei masroof har fard jo hai,

ayan sambhal jao sudhar jao musibat bi zarori hai...

© 2014 ayan ali dar


Author's Note

ayan ali dar
this is s poem in urdu

My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

205 Views
Added on May 3, 2014
Last Updated on May 3, 2014
Tags: urdu poetry, shahyri, sad, romantic, good, heart touching, ayan ali dar, srinagar, kashmir

Author

ayan ali dar
ayan ali dar

Srinagar, Jammu and Kashmir, India



About
Hi I'm Ayan ali dar from Kashmir India, I have been writing poetry since I was in 6th standard At boarding school in Aligarh, From then till now I keep myself busy writing, Hope everybody like my.. more..

Writing