BETIYAAN

BETIYAAN

A Poem by Ayushi Sharma
"

Dedicated to all daughters of my India!!!Keep smiling !!!Be brave!!!

"
Phool si najuk hoti hain Betiyaan,
Apmaanit hone pe roti bhi hain hum betiyaan,
Maa baap ki raani hoti hain hum betiyaan,
Do gharon ki laaj kahi jati hain hum betiyaan,
Fir kyun, kyun sasuraal mein dahej k liye jalayi jaati hain betiyaan,
Kyun paida hone se pehle hi maa ki kokh se hatayi jati hain betiyaan,

"BETI BACHAO BETI PADHAO" ka naara lagata h aj ye bharat ,
Toh fir kyun bachayi nahi ja rhi hain betiyaan,
Kyun nahi padhayi ja rhi betiyaan,
Ek baar humein bhi mauka toh do khudko saabit krne ka, JHANSI KI RANI ,KALPANA aur KIRAN BEDI,SINDHU,SAKSHI jaesi misaal kayam bhi kr sakti hain hum betiyaan,

Aj aesa kya hai Jo krte hain bete aur na kr sakein hum betiyaan,
Jarurat padne pe maa baap ki lathi b banti hain hum betiyaan,
Mat kro hamara yun tiraskar,samman ki adhikari hain hum betiyaan,
Beton k kandhe se kandha milake chalna janti hain hum betiyaan,
Agar phool se komal hain hum betiyaan toh jarurat padne pe talwaar bhi hain hum betiyaan....



Women of our country needs empowerment not molestation!!!

© 2016 Ayushi Sharma


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

ayushi,


I am weak in Hindi even then with my scanty stuff .....i would say it is enchanting and re readable. what is more needed for a work
if it is revisited often by unknown readers?
exllent effort


carry on........


mp ramesh

Posted 7 Years Ago


Ayushi Sharma

7 Years Ago

Apko kaesi lagi bs ye btado ap,u got it or not?
M P Ramesh

7 Years Ago

I know it that female is the next in step means ahead of male in evolution. Regarding molestation .. read more
Ayushi Sharma

7 Years Ago

okkkk...thanxx alot....now I get what u said.....
Dil se acchi hoti hai yeh betiyaan
Baatoin se sacchi hoti hai yeh betiyaan
Surat se masum hoti hai yeh beriyaan
Maata pita ki shaan hoti hai agar aap jaisi hoti hai yeh betiyaan:)

Posted 7 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

266 Views
2 Reviews
Added on August 20, 2016
Last Updated on August 25, 2016

Author

Ayushi Sharma
Ayushi Sharma

Ghaziabad, India



About
Equanimous, Impartial, Amicable, Bathetic person, Luv writing romantic songs, Die Hard & Enduring fan of ATIF ASLAM, music is my sole consoler.... more..

Writing