Advertise Here
Want to advertise here? Get started for as little as $5
Chahat

Chahat

A Poem by cookiee3112

Apni hi chahat ko ham apna na bana paye Unke khayalo ki duniya mein ham shamil na ho paye Sirf unki khokhli yadon mein hamne na jane kitne diye jalaye Fir bhi afsos apni muhabbat ki dastan apno ko suna na paye Ab na koi ullas hai na koi umang Sirf aur sirf hai to adhuri dastan ke sath jeene ki ek jung Log kahte hain wo samajh nahi sakte hamein Samajhna unki fitrat mein shamil nahin Chodo samajhne ki bat kabhi samay mile to samajh ke dekhna ki Jab dil toot ta hai to awaz nahin aati Sirf nikalte hain aankh se aansu Sari duniya bahti huyi nazar aati Aur duniya ke sath tum bhi rokne ki koshish karte tumhein magar rok na pate Kyonki ham kabhi khud ko tumhare khwabon mein na pate Bas aise hi chalti hai zindagi bas aise hi kat ta hai jindgi ka safar Nikalti hai dil se awaz “Tum hi the,tum hi ho,tum hi rahoge” Na sahi pyar bankar magar ek kasak bankar zaroor ab chalte hain dost chalna padega ye khudai ne kaha hai tum bhi chaloge ham bhi chalenge hamesha alag alag yahi to hai aaj ka tajurba aur is jindagi ka rutba

© 2021 cookiee3112


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

22 Views
Added on July 27, 2021
Last Updated on July 27, 2021

Author

cookiee3112
cookiee3112

Indore Mp, western Madhya Pradesh , India



About
Student Discord staff at Viral Gamers {VG} passionate about poetry writting more..

Writing