![]() Beauties & BeastA Stage Play by Mohit Saxena![]() This thought-provoking play delves into the frustrations of people disillusioned with the system. Seeking divine intervention, they approach God for help, only to find that God is portrayed as a woman![]() BEAUTIES & BEAST Scene 01 Parag - Main aya hu insaaf mangne, un sab ka jinke sath galat hua hai or kisi ko unki parwah tak nahin. Shubham - Main aya hu un sabhi ki taraf se mafi mangne, jinhone un sab ke sath bad se badtar vyavahar kiya hai. Varun - Main Aya hu ye janne, ki itni suraksha hone ke bawajood Aisa kaise ho sakta hai? Tanya - Chup bilkul, Chup.. Tum log Kiski baat kr rhe ho, Us Moumita ki jo apna kaam kr rhi thi, jin doctors ko log ishwar ka darza dete hain, uske sath jo janwaron jaisa saluk kiya hai, us ladki ki? Ya fir un bacchiyon ki, jinke sath bathroom main balatkaar hua, Jinhe iska matlb tak nahin pata. Or tum log ho kaun? Kis baat ko rakhne aaye ho yahan. Kis baat ka insaaf Mangne? Parag - Main hun ek aam insaan, jiski biwi hai, behen hai, maa hai, jo humesha pareshaan rehta hai ki jo kuch desh main chal rha hai, kahin vo mere ghar tak na pahunche. Varun - Main hun ek neta, jo samaj kalyaan ke karya karta hai, mahilaaon ke liye suraksha pradan krta hu. Shubham - Or Main hu ek kalakar, galat hote hue bardasht nhi kr pata, har cheez pr apne khyaal vyakt krta hu, logon ko jagruk krta hu. Tanya - Waah, Kya baat hai, Is kachari main, samaj ka aayina dikhane wale ya khud samaj bankr mere samne aaye hai, Main hu Nyaay ki devi, Jo sabke punya or paap ka hisab rkhti hu, or us hisab se saza deti hu. Par pichle kuch dino se mujhe lagne laga hai ki mere kuch niyantran main hi nahi hai, main khud ko hi abla samajhne lagi hu. Saza to usko de skti hu na jo doshi paya jaaye, agar bheed hi doshi ho, to saza kise milegi? Parag - Bheed? Kaisi bheed? Humesha balatkaar krne wale to 1 ya 1 se thode zyada log hi hote hain na, bheed kahan hoti hai. Sahi baat hai, Aise tum nhi smjhoge, Ye kahani dhyaan se dekho, smjh jaaoge. Scene 02 Ek banda saloon chalata hai, apne dost ke sath. Yash - Bhai subah se koi customer nhi aya yar, Aaj paise ki zrurt hai, Gudiyaa ki fees bharni hai aaj last date hai. Tanmay - Sabr kr bhai, koi aata hi hoga. Entry of a Person, who is unfriendly with people, came and sat on the chair. Yash - Aayiye Bethiye, Kya krna hai? Person - Dadhi or baal saaf kar dijiye. Tanmany - Chai lenge? No response Tanmay - Aap Ko pehli baar dekha is area main, Naye ho kya? No response Tanmay - Bhaiyaa bade gusse wale lagte ho. Mohit - Bina baat kiye tum logo se kaam hi hota kya? Yash - Are bhaiyaa gussa nahin, ae tu 2 chai bol bas. Tanmay - Haan, Chotu 2 chai or aaj ka akhbar lana zara. Chaiwala - Haan Bhaiyaa. Akhbar or 2 Chai leke ata hai. Or bande ko de deta hai. Akhabr padhte hue pehle akhbaar main fir admi ki taraf dekhta hai, vo bhi 2 bar. Or fir awaz lagakr dusre ko bulata hai. Tanmay - Bhai ye teri chai le idhaar aakr. Yash - Haan aya. Tanmay - Kya hua. Yash - Bhai ye dekh. Wanted (ek aadmi jo aisa dikhta hai, Police dhundh rahi hai. Ek 8 saal ki or ek 15 saal ki bacchi ka rape kiya hai) Jaise hi akhbaar ki taraf un dono ka zyada dhyaan dekhta hai vo aadmi, turant khada ho jata hai, or piche se ek ki gardan pakad kr fek deta hai. Mohit - Tum log bhut smjhdaar smjhte ho kya apne aap ko. Dusre ko bhi thappad markr leta deta hai, or rassi se hath bandh deta hai. Mohit - Ek kaam dhang se nahin kar sakte tum log, koi zimmedari hi nahi hai. Tum jaise log hi dharti ke asli bojh hai, pura mood kharab kr diya. Itne main gate khulta hai, or Ek ladki Bhaiya bhaiya kehti hui, andar ajati hai. Use aate dekh vo aadmi usko garden se pakad kr zameen pr leta deta hai or uske bhi haath baandh deta hai. Mehek Hath bandhte hue dekh vo zor se chillati hai, tum kaun ho? Kya chahte ho? Yash - Meri behen ko chod de, use jaane de. Mohit - Jaane dun? Tujhe pata hai ye jo akhbaar main meri news hai ye sach nahin hai. Sach main btata hu kya hai. Sach ye hai ki isme sirf 2 rape ke baare main bataya hai, asal main maine 19 rape kiye hain. Lekin kisi ne mere khilaf shikyat hi nahin ki, lekin ye do ladkiyan behene thi, or baap inka thoda padha likha or paise vala hai, bas isliye mujhe celebrity bna diya hai. Yahan itni dur main isliye aya tha kyunki apna huliyaa badalwa saku, lekin tum gadhe log apna kaam theek se krna hi nahin jaante. Kher ye badhiyaa hua, apna 20va shikar mujhe dhundhna nhi padha, vo khud chalke mere pass aagya, aha kya baat hai, kya aankhein hai, chehra hai, mza aayega ise masalne main. Yash - Oye meri behen ko haath tk mat lagana, police ko bulaunga tujhe zinda nahi chodunga saaleee. Mohit - Hahaahaha, Police ko bulayega? Tujhe pata hai sabse pehle maine jin ladkiyon ka fayda uthaya tha, vo police wale ki hi ladkiyaan thi. Vo bhi mera kuch nhi ukhaad ske, tum kya ukhaad loge. Ye samaj mujhse ladega kaise, pehle vo khud se to ladh le, garibi, bhukhmari se aaage nikle to kuch soche, jo nikal gaye hain unko unki izzat badi pyaari hai, jinke liye izzat zruri nhi hai, unko mujh jaise logo se darr lagta hai. Or jo in sab se upar uth jate hain unki band bajane ke liye kanoon to tyaar betha hi hai. Mera koi kuch nahin bigaaaad sakta ye baat yaad rakhlo. Mehek - Tujh jaise darindon ko sare aam maar dalna chahiye, tadpa tadpa kar, tere sharir ke ek ek ang se cheekh nikalni chahiye, tujhe tab tk maut nhi aani chahiye, jb tk tu khud maut ki bheekh na maange. Mohit - Hahahaha, kya baat hai, teri behen to bhut tezz hai, mza aayega mujhe, or tujhe batata hu ek ek ang kaise tadapta hai… hahahhaaha. (Out from the scene) All the characters freeze.. Scene 03 Shubham - Ye dekh kr to bhut bura lag rha hai mujhe, naa jane kaun kaise bachayega us bacchi ko. Tanya - Jao, Bachao jaakr tum log. Parag - Nahin nahin, Hum gaye or hume usne maar dala to? Mera bhi to pariwaar hai. Tanya - Yhi, bas yhi bheed ki baat kr rhi thi main. Jin logo ke aandar aisi samasyaon se ladhne ka samarthya nhi hai, unki sankhya bhut zyada matra main hai is samaj main, or tum bhi usi samaj ka ang ho. Kya kaha tha tumne? Tum sant mahatma ho? Jan kalyan krte ho? Vahi jan kalyan ki baat kr rhe ho na tum, jo tumhare aashramon ke andar hota hai, or kisi ko dikhayi tk nhi deta, seva ke naam pr ladkiyon ka soshan hota hai, vhi hai jan kalyan? Or tum, Kalakar bane firte ho, meethi meethi batein sunakr alag alag ladkiyon se sambandh banate ho, or “Mera pyaar sirf apni kala se hai” ye kehkr palla jhaad dete ho, Vhi ho na tum? Or tum, sabse aacha or saral aadmi jo apne pariwar ke liye pareshaan hai, tum vhi ho na jo apne ghar ki ladkiyon ko chod kr sabke ghar ki ladkiyon pr tippani deta firta hai, nakli naam se apni id banakr social media pr ladkiyon ko culture sikhata rehta hai? Vhi ho na tum? Ye baat to sach hai ki tum log samaj ka aaiyna bankr yahan aaye ho, kyunki samaj ki dasha hi yhi hai is samay, or ye kisi ke kaabu main nhi hai, Swayam ishwar ke niyantran main bhi nahin, sirf tumhare andar ka ishwar hi ise theek kr skta hai, sirf tumhare andar ka ishwar. Scene 04 Mohit - Ishwar (evil laugh) Kahan hai ishwar, maine to aajtak nhi dekha, tune dekha hai kya? Or tune bhi dekha hai kya??? Mehek - Meri aatma aur hriday me vaas karte hein ishwar, Mera aadi, mera ant hein ishwar, meri kaya me he ishwar aur mere chintan me hein ishwar. Jahan tak teri nazare jaa sakti hein na, vahan tak mere ishwar ko paya Jaa sakta he Uske bhakto me hein ishwar, aur uske shatruon Me he ishwar. Tujhe ek baat pata he, Tujh me bhi ek ishwar he, lekin tune apne andar ke rakshas ko itna haavi kar liya he ki tere andar ka ishwar kamzor pad gaya he. Tujhe ishwar ki taqat ka andaza nahi he. Jaldi lag jayega Uske baal pakdta hai, use lekar ghoomta hai, Mohit - Bhut bolti hai ye ladki, Main Hu ishwar, kyunki koi mera kuch nhi bigaad sakta, ye dharm, jaat, paisa, kaanoon, desh sab lachaar hain, koi kisi ka kuch nhi kr skta, ishwar to sabse zyada lachaar hai. Asal main, main hi ishwar hun, jab jo mann krta hai, vo krta hu, ghumta hu firta hu, main hi hu sabse shaktishaali, main hi hun ishwar. (Evil Laugh). Main apne aap ko har vo cheez deta hu, jo tum log ishwar se maangte ho, gidgidate ho uske samne, or main. Main sab khud se pa leta hu, Kisi ko koi ishwar bachaane nahin aayega, Kyunki jo cheez duniya main hai hi nahi, vo milegi kaise… Main hi hun ishwar, sirf main hi hun.. Itne main ladki apne haath ki rassi kholkr ek kenchi ko hath main lekr, aadmi ki gardan pr lagata ghaav krti hai, jab tk vo mar nhi jata lagatar marti hai, chillati hai, roti hai, gussa nikalti hai, lagatar marti hai. Marne ke baad fir zor zor se roti hai. Lights off, Music Off. THE END. © 2024 Mohit Saxena |
Stats
91 Views
Added on September 15, 2024 Last Updated on September 15, 2024 Tags: rape culture, Women safety, Indian society Author![]() Mohit SaxenaBhopal, Bhopal, IndiaAboutMohit is a versatile writer and director with a rich portfolio that spans across dramas, plays, lyrics, and short films. His creative journey has involved collaborating with various artists, crafting .. more.. |