Ek Tarfa-5

Ek Tarfa-5

A Story by Ankahee
"

one sided love story

"
EK Tarfa -5

Coffee shop mein sabko aamne saamne dekh kar Preeti bahut pareshaan si ho gayi.


Saahil ne Dhairya se hath milate hue kaha “Meri Preeti ka dost aur wo bhi uske student ka bhai, that’s really strange”

“Preeti yeh kab se hone laga” shaq bhari nazaro se Saahil ne Preeti ko pucha.

 

Preeti ghabrate hue boli “Saahil kisi se milte waqt aise sandeh nahi karna chahiye”

“ tumhare liye cold coffee order karun”, Preeti ne saahil se pucha.

 

Saahil ne chidate hue kaha “kar do order agar aise hi tumko cover up karna hai to”


Preeti order karne ke liye gayi aur noor ko message karke bulaya.


“Haanji bataye kya hua”, Noor ne pucha

“Are yaar mujhe tujhe Saahil aur Dhairya ke baare mein hi batana tha, lekin yeh dono to yahin aa gaye, kuch kar na please” Preeti ne rote hue se kaha.

 

Preeti jaise hi cold coffee lekar ayi to Noor ne kaha “Madam aapka phone kahan hai, aunty ne mujhe phone kia tha aur turant ghar bula rahi hai”

Preeti ne natak karte hue kaha “kya, kyun”

“Gusse mein this aunty, jaldi chalo ab”, noor ne natak mein sajhedaari karte hue kaha.

 

Preeti pareshaan hote hue boli “Sorry guys need to go, you all enjoy your coffee, Bye”


 

Agle din jab Preeti uthi toh uske pass 2 messages aye hue the, ek to tha Saahil ka aur dusra Dhairya ka.


Ab wo khush ho ya pareshaan yeh usse samjh nahi aa raha tha. Bahut asamanjas mein thi Preeti.


Aakhir mein use decide kia ki wo Saahil ka message dekhegi.

 

“yaar tu mujhe avoid kyu kar rahi hai. Seriously wo tu hi hai”

 

Preeti ne gusse mein reply karte hue likha “Saahil yeh ghatiya Mazak mujhe bilkul pasand nahi hai aur haan nahi hi yeh noor ka number hai so please be in your limits”


Fir wo taiyaar hone chali gayi.


Jaise hi wo school pahunchi to usne dekha ki dhairya aur saahil ek dusre se baat kar rahe the.

Wo dang reh gayi, usne yeh to bilkul bhi expect nahi kia tha. Use samjha nahi aaa raha tha ki yeh sab kya ho raha hai. Ek or to usse laga ki kahin yeh dono milkar to shararat nahi kar rahe hai, itni udher bunn mein thi ki yeh sochte sochte use ek dum se black out ho gaya aur wo gir padi.

 

Jab Preeti ki aankh khuli to usne apne aap ko school ke medical room mein paya. Students aur teachers uske aas pass khade hue the. Jaise hi wo uth kar bethi to usne saahil aur dhairya ko durr khade paya.

Usne teacher se unko jaane ko kaha.

 

Dhairya ne jaate jaate yeh faisla le liya tha ki ab wo Preeti ko kabhi bhi pareshaan nahi karega aur na h uske saamne aaega.

Usne Preeti ki aankhon mein uthte kayin sawaal dekh liye the, wo usse aur pareshaan nahi karna chahta tha.

 

School ke chuthi ke waqt riya aayi aur boli “Mam aap please mere sath chaliye mein aapko drop kar dungi”

 

Preeti samajh gayi thi ki yeh Dhairya ne hi bhol hoga riya ko. Preeti riya ke sath chali gayi.

 

Shaam ko Preeti ne dhairya ka message khol ke padha

 

“Preeti mein yeh to jaan gaya hunk i wo dost saahil hi hai aur sach maano toh mujhe wo acha bhi laga, Yeh mera last message hai aur haan ek last baar tumse milna chahta hun..bye :) “

 

Preeti ko bahut dukh hua. Usne saahil ko phone kiya aur milne ke liye bulaya.

 

“Kabhi kabhi hum jisse barso se chahte hai aur wo mil jaye to usko paane ki chah khatam ho jati hai”

 

To be continued....

© 2020 Ankahee


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

34 Views
Added on August 14, 2020
Last Updated on August 14, 2020
Tags: Story, one sided love

Author

Ankahee
Ankahee

Writing
Intezaar Intezaar

A Poem by Ankahee


Karz Karz

A Poem by Ankahee