Ek Arsa Hua Tujhpe Kuch Likhe(in HINDI)

Ek Arsa Hua Tujhpe Kuch Likhe(in HINDI)

A Poem by Pushkar Prabhat
"

Not in Devanagari script.

"
====Ek arsa hua tujhpe kuch likhe====
Copyright©pushkar prabhat, 2014
Ek arsa hua tujhpe kuch likhe huye.
Nhi, aisa nhi ki mera pyaar ab kavita nhi karta.
Aisa nhi ki man me teri yaadon ka kafila nhi chalta.
Aisa bhi nhi ki ab aansuon ki syaahi nhi milti.
Nhi aisa nhi ki ab ye dil se aahein nhi nikalti.

Bus yu hai,
Ki pareshaan is dil ko zara aaram pahucha raha hu.
Isse pehle ki kalam ki nib koi zakhm fir udhede,
Waqt ka malham laga raha hu.
Par fir kisi roz jab,
Meri ye tanhayi hogi,
Yaadon ka sama hoga,
Aur kuch ashk kaagaj bhigo denge.
Tab, koi gazal, koi sher mukammal hoga.

Ye bhi ajeeb hai na,
Ki jis panne pe saara dard simta hoga,
Use faad sakunga,
Use jala sakunga.
Shayad kahin fek use,
Bhula sakunga.
Par kavita mitegi nhi,
Dard tab bhi utna hoga.
Haan aansu sookh jayenge,
Wo lamha gujar jayega.
Un panno me wo,
Gazal, kavita, ya sher kho jayega.
Par ye tanhayi, teri yaadein mitegi nhi.
Kuch khule zakhm honge,
Aur haan, ye dard tab bhi hoga.......utna hi hoga.
__________________________________________
Would love to read your comments if you could spare me a few seconds of your online time! Thank you for reading.

© 2014 Pushkar Prabhat


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Featured Review

humari yaadein hume jeene nhi deti, hume marne nhi deti...
baki to fir bhi sambhal jate hain waqt ke saath...
ek shaayer ki kalam hai ki uske zakhmo ko bharne nhi deti !

bahut sundar kavita hai aapki pushkar ji ! aise hi apni kalam ka jaadu bikherte rahiye:))

Posted 8 Years Ago


1 of 1 people found this review constructive.

shardha sharma

8 Years Ago

haha aisi baat nahi hai bus kabhi kabhi !
Pushkar Prabhat

8 Years Ago

aapki hindi kavita padhne bhi ka saubhagya milna chahiye hamein.........
shardha sharma

8 Years Ago

ji..koshish karke dekhungi kabhi likhne ki...



Reviews

Pushkar bhaiya.... Acha lga kisi ne Hindi me kavita dali yha...
Angrezi se chutkara diya...
Aisi sundr kavitayen likhte rhiye, aur hamari kavitayen pdhte rhiye ( angrezi me hai to kya hua ?.... lol ;) )
Bdhiya!!!

Posted 8 Years Ago


Bohat khoob likha he..
Words were dripping with emotions.. And with such eloquence and grace..
Beautifully written..! I liked it..!

Posted 8 Years Ago


Pushkar Prabhat

8 Years Ago

bahot bahot shukriya........ :) :)
Par fir kisi roz jab,
Meri ye tanhayi hogi,
Yaadon ka sama hoga,
Aur kuch ashk kaagaj bhigo denge.
Tab, koi gazal, koi sher mukammal hoga.

The lines I liked the most. Shukriya is kavita ke varnan ke liye. :)
Keep writing. :)

Posted 8 Years Ago


1 of 1 people found this review constructive.

Pushkar Prabhat

8 Years Ago

bahot bahot shukriya............!!! :) :)
Gurleen Saluja

8 Years Ago

Welcome :)
humari yaadein hume jeene nhi deti, hume marne nhi deti...
baki to fir bhi sambhal jate hain waqt ke saath...
ek shaayer ki kalam hai ki uske zakhmo ko bharne nhi deti !

bahut sundar kavita hai aapki pushkar ji ! aise hi apni kalam ka jaadu bikherte rahiye:))

Posted 8 Years Ago


1 of 1 people found this review constructive.

shardha sharma

8 Years Ago

haha aisi baat nahi hai bus kabhi kabhi !
Pushkar Prabhat

8 Years Ago

aapki hindi kavita padhne bhi ka saubhagya milna chahiye hamein.........
shardha sharma

8 Years Ago

ji..koshish karke dekhungi kabhi likhne ki...
Oh my, i am glad I'll be able to speak some hindi now. Ok let's start
Ye Kavita bohut khoobsurat hai, tumne iss par bohut accha kaam kiya hai.
Haha, i enjoyed speaking some hindi.

A heartfelt write mate.

armin. ...

Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

ji meri khush-kismati jo meri wajah se aap hindi bol paaye........aapki duaon ke liya shukriya........ read more
Baahut gehri feelings... Deep emotions...
Its now one of my fav writes...
Brillliiaaaannnttt !!!!!

Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

arre dil se jab baat niklegi to kranti hogi hi........jarur padhayein mujhe apne sher aur kavita...... read more
Amulya Bhardwaj

9 Years Ago

aho ji!! bilkil pdhayngy...
Pushkar Prabhat

9 Years Ago

intezaar rahega..... :D
Isse pehle ki kalam ki nib koi zakhm fir udhede,
Waqt ka malham laga raha hu. ........... this was the best... lovely poem. touched.

Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

shukriya............shukriya.........!!! :) :)
Sundartam abhivayti ek ubharata shayaar...
Likhate raho jakham hare hi rahenge...

Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

ji kaviraj.......danyawaad!!!
M.A.Rathore

9 Years Ago

Chalo maan lenge 2015 tak...
Ya mana lenge
Hum kitna bhi english poetry ke piche bhage par hamari jaban ki koi bhi sani nahi hai. Ye jo kavita hai...esa lag raha hai ki khud ko kagaj par utarne ki koshish ki gai hai. Kya hum kabhi uski yadon ko apne dil ke kone se nikal sakenge? javab sab jante hai.
Mere liye ye us jakham ko kuredne jaisa hai. Is kavita se to meri najar na hat rahi thi. teen baar pad chuka hun...ummid karta hun phir samay dunga.

Posted 10 Years Ago


Ati sundar rachna, Pushkar.

Posted 10 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

442 Views
11 Reviews
Shelved in 1 Library
Added on February 23, 2014
Last Updated on February 23, 2014

Author

Pushkar Prabhat
Pushkar Prabhat

Bhagalpur, India



About
22, human male. Passionate about writing. Anyone can send me a read request but the review may take some time. if you have any query regarding your writing or mine, feel free to mail me. War.. more..

Writing