Mera jahaan, jo abhi yahan tha[in HINDI]

Mera jahaan, jo abhi yahan tha[in HINDI]

A Poem by Pushkar Prabhat
"

(NOT IN DEVANAGARI SCRIPT) dedicated to the badauli,up rape case victims

"
===Mera jahaan, jo abhi yahaan tha===
Copyright@pushkar prabhat, 2014
[Wo khadi door ek ped ko ghoor rahi hai. Aas paas kuch bhi hai. Sannata hai.]
Kahan gaya jahan mera,
Abhi to sab yahan tha.
Mera gaon, ghar sab,
Sab bus abhi to yahan tha.
Abhi to school se chutti huyi thi,
Aur ab ghar ja ke maa ka haath batana tha.
Baapu to khet pe hoga aaj,
Abhi use khaana dene jaana tha.
Abhi to apni bakriyon ke peeche bhaag rahi thi,
Behan ko shart me jo harana tha.
Behan, par meri behan hai kahan?
Abhi to hume choodiyan kharidne bazaar jaana tha.
Wo jarur doir us ped ke peeche chupi hogi,
Chipne ka uska hamesha wahi thikana tha.
[Wo ped ki taraf daudti hai. Chupke se ped ke doosre taraf jaati hai aur apni behen ko ped se latka hua paati hai. Wo cheekhti huyi daud uske pairon se lipat jaati hai. Behan ke gale ki rassti toot jaati hai. Dono girte hai par udar doosri taraf bhi kuch girne ki awaaz aati hai. Wo roti huyi wahan jaati hai aur apni laash dekh zameen pe gir padti hai. Wo bilikul chup hai. Ab ro nhi rahi]
Kya mai....didi...nhi nhi,
Abhi yo kitna kuch karna tha.
Maa kitni bimaar rehti hai,
Mujhe unke liye doctor banna tha.
Aur jis wajah se saheliyan angrejan bulaati hai,
Wo videsh jaane ka sapna bhi to pura karna tha.
Mai to ab tak sahar bhi nhi gayi,
Mujhe to abhi college me bhi padhna tha.
Gudde gudiya ki shaadi abhi bachpan bhi nhi hua,
Fir mujhe bhi to dulhan banna tha.
Par ye sab kaise...akhir.....kyu?
Kya wo sab ek bhayanak sapna nhi tha.
Kya didi ko wo sab.....
Aur mujhe.....woh vehshipan......sapna nhi tha?
Maa kehti thi login ke saamne hasa mat kar,
Par kya sach me mera khilkhilaana itna bura tha.
Lekin didi to bilkul seham sambhal kar rehti thi,
Fir meri muskurahat se uska kya lena tha.
Baapu ne bhi to bahar khelne jaane se mana kiya tha,
To wo to maine kab ka chor diya tha.
Fir kya bus isliye ki mai larki hu?
Par isme mera kya dosh kya gunaah tha?
Ya fir hum ped se kahi isliye to nhi latak rahe,
Kyuki unko mardaangi sambhalna aata nhi tha?
Kya meri jindagi, mere samman, mere sapno ka,
Duniya me bus itna hi mol reh gaya tha.
Abhi to mai jawaan bhi nhi huyi, beparvaah thi
Kya khuda bhi meri masoomiyat pe laparwaah tha?
Nhi mujhe tumhaare jawab nhi chahiye,
Muje bus mera wo sab wapas chahiye,
Jo abhi yahan tha.

© 2014 Pushkar Prabhat


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

I had chills while reading this. Kitna bura hai ye samaaj jo ladkiyon ki izzat nahi karta aur unhe itna pareshaan karta hai ki woh apni jaan dene par majboor ho jaati hain. It is a writer's way to make the society better, and you did just that.
Maumil

Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

bahot bahot shukriya...........bus ek chotta sa prayaas.......!!! :) :)
kitna achchha likha tumne...bhav vibhor ...kya sach me tum ladkion ki bhavnao ko samajhte ho?shayd haan.warna itna behtareen likhte hi n....ye sach hai aaj hr ladki ka ye prashn hai ye{kya khuda bhi meri masumiat pe laaparwaah tha}



Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

bahot dhanyawaad.........puri tarah to mai kabhi nahi samajh sakta.......par kosish to kar hi sakta .. read more
sapna sagar

9 Years Ago

zarur...............
this gripped me till the end. Wat a good write this was. flaring emotions. leaves an impact.

Posted 9 Years Ago


Pushkar Prabhat

9 Years Ago

dhanyawaad kavivar............!!! :) :)
I hope you provide an English version for English speakers. Up to you. Coming from you, I'm pretty sure it is good...:)..............

Posted 9 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe

Advertise Here
Want to advertise here? Get started for as little as $5

Stats

297 Views
4 Reviews
Rating
Added on May 31, 2014
Last Updated on May 31, 2014

Author

Pushkar Prabhat
Pushkar Prabhat

Bhagalpur, India



About
22, human male. Passionate about writing. Anyone can send me a read request but the review may take some time. if you have any query regarding your writing or mine, feel free to mail me. War.. more..

Writing