Kitaab

Kitaab

A Poem by Priyanshi

KITAAB


kitaab jaise koi kitaab hai ye zindagi,
ek kahani hai ye, kuch rango se buni hui.
pyaar se takraaye jo gum bhi khub mile,
dard ki sharyi fir hum kuch kagazo mein bunne lage.

beete panne lage barbaad, ruthne jo lage hum guzre hue kal se,
dard se ruh ko jo zakarte, fir ashqo se bhi na bichar paate.
har karm, dilo-dimaag ke ghar mein basaa jaati ye zindagi
baaki aane waale panno ke kuch khaabar hume na rehti.

jo beetey hue paane haseen se tasvir dil mein utarte
 toh aane waale kal ki taasvir  dhundhli si dikha jaate.
fir kisi sharab ki tarah, is kadar  dil pr raaz krte,
jo aane waale kal ka khauf bhi hume bhula dete.

ab dil karta hai kitaab ke baaki panno ko bhi dil mein uthar lu,
waqt se pehle, sab raaz khol du, apne liye,
pr mazboori meri,meri ashqo mein behti
kyunki  wo kitaab meri zindagi ki  mere haatho jo na dikhti.

© 2017 Priyanshi


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

I wonder, what language is that?
Punjabi, Hindi, Gujurati?

Posted 6 Years Ago


Priyanshi

6 Years Ago

No problem Sir.
It's Hindi language.
I shall try to translate it in English.
:)

Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

143 Views
1 Review
Added on November 22, 2017
Last Updated on November 22, 2017

Author

Priyanshi
Priyanshi

India



About
Am a girl who desires to travel a journey from the dream world to the real world, Livin' the beautiful dreams on the land of reality. MY LINES----- "Never did sacrifice a jewel of min.. more..

Writing
 I WONDER I WONDER

A Poem by Priyanshi