ek anjaan chehra

ek anjaan chehra

A Story by Lubna

ek anjaan chehra nazar aata hai aankhe bandh karne pe. kaali badi badi aankhe shayad bhut se sapno ka bhojh sambhale. maatha uska qismat ki buland lakhiren liye jo bus chamkne ke intizar mein hai. sawala sa rang magar alag sa tej hai usme. jab bhi hontho pe nigah jaati to sirf uski muskurahat dikhti jo chanchal si shararti si hai. jab uski ek taraf honth ko kheechi badmashi wali muskurahat dekhti hu to bandh aankh hote hue bhi muskura deti hu. chanchalta uske chehre pe dikhti hai. magar us chanchalta ke piche ek ghambhir vyakti ko bhi dekhti hu. jo apni muskurahat ke piche anek dard ko chupae hue hai. kai saari niraashae jo uske hath lgi use samete mazboot pardarshit karta hai. 
ek pal mein wo mujhe ek chanchal kishor dikhta  lekin usi waqt khud ko wo ghambir bhi bana leta. duniya ki asliyat se vanchit nahi us ke har roop ko sameta hua use apne andar dhaala hua nazar aata hai. mann uska shant hai bas chehre pe muskaan hai. na jaane kya hai us anjaan chehre mein ek alag hi judaav hai, shayad ye chehra kuch kehna chahta hai lekin apni muskurahat se use chupae hai. kyu mein hamesha aankh bandh kar ke tum ko hi apni bandh aankho ke qareeb dekhti ho, kyu tumhri wo chanchal si muskurahat mujhe acchi lgti hai use dekhte hi main kyu muskura deti hu,kyu aakhir kyu, kyu aisa kyu?

© 2017 Lubna


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Reviews

jab uski ek taraf honth ko kheechi badmashi wali muskurahat dekhti hu to bandh aankh hote hue bhi muskura deti hu. chanchalta uske chehre pe dikhti hai. magar us chanchalta ke piche ek ghambhir vyakti ko bhi dekhti hu. jo apni muskurahat ke piche anek dard ko chupae hue hai. kai saari niraashae jo uske hath lgi use samete mazboot pardarshit karta hai.

HOW ROMANTIC
HOW INTENSE
HOW LOVING
HOW BEAUTIFUL
SO SO SO SO SO ADMIRABLE

Posted 7 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

107 Views
1 Review
Added on February 9, 2017
Last Updated on February 9, 2017

Author

Lubna
Lubna

Writing
a lie a lie

A Poem by Lubna


kuch qadam kuch qadam

A Poem by Lubna


teri yaad teri yaad

A Poem by Lubna