main badi ho gayi hu

main badi ho gayi hu

A Story by Lubna

jo haath ki ungali pakad k chali aaj wo khud apne paer pe khadi ho gayi hai. aaj use sab ne samjhaya k tum badi ho gayi ho. badi ho gayi ho matlab apna kaam khud kar skti ho ab tum sab k barabar ho gayi ho, lekin kya main sham ko akele ja sakti hu? kya main apne dosto k sath bahar masti kar sakti hu? shayad nahi kyu k main badi ho gayi hu, mujhe bahar awara ghum rahe ladke chhed sakte hai mujh pe kuch tanz kas sakte hai, kyu ki main badi ho gayi hu. mujhe apne bachpan k khel khilone wohi rakh dene hai kyu ki main badi ho gayi hu. wo gudiya ka ghar jis mein gudde k sath uski shaadi ki thi wo wohi rakh dena hai kyu ki main badi ho gayi hu. rasoi mein namak ki maatra aur garam masale k naam pata hone chahiye kyu ki main badi ho gayi hu. aaj jab bhi khushi ki khabar sun k ucchal uthti hu ya mazedaar chutkula sun k zor se hass deti hu to tok di jati hu kyu ki main badi ho gayi hu. bahar barish ki mehek le k usme khelne jaana chahu to nahi ja sakti kyu ki mai badi ho gayi hu. mai ghar grahasti sambhal sakti hu saas sasur ki sewa kar sakti hu kyu ki mai badi ho gayi hu. kal jin haath me kalam thi usme mehendi racha di gayi kyu ki main badi ho gayi hu. bachapn ka ghar ghar ka khel ab asal zindagi mein khelna hai kyu ki main badi ho gayi hu. jin maa baap ko bachpan se dekha jin ke aanagan mein bachpan bitaya usko chhod ko jana hai kyu ki main badi ho gayi hu. maa ne bhi sabhi nai zimmedariyo ko samjhaya kyu ki mai badi ho gayi hu. vidaai ke samay baap ne sir pe haath phera aur apni izzat saupte hue samjhaya ki main badi ho gayi hu. ye ab main samjhne lagi hu haa main badi ho gayi hu ha main badi ho gayi hu!!!!!! 

© 2017 Lubna


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

118 Views
Added on February 9, 2017
Last Updated on February 9, 2017

Author

Lubna
Lubna

Writing
a lie a lie

A Poem by Lubna


kuch qadam kuch qadam

A Poem by Lubna


teri yaad teri yaad

A Poem by Lubna