sasuraal

sasuraal

A Story by Lubna

umar bhar sath rehne ki qasam kha ke maa ne apne hath se mujhe vidaa kia. mujhe bataya ke yehi mera ab naya ghar hai, naya parivar hai,mujhe aise shaks ko saup rahi jo mera saathi hai har sukh dukh mein mera saathi, meri har pareshaniyo mein saath dega. itna keh kar mujhe doli pe baitha dia. ab main raaste mein apne parivaar ka khawaab le kar ja rahi thi. bahut se armaan le kar ja rahi thi ek maa yaha bhi mujhe milegi, mujhe apne saas sasur ka sammaan karna hai. mera pati mera rakshak hai, meri nand meri saheli hai, mera devar mera bhai hai. jb meri doli mere naye ghar k samne ruki to mera bahut utasah ke saath sawagat kia gaya. mujhe nae mehman ki tarah mera satkaar kia gaya. laga jaise is duniya mein isi tarah ka mahaul rehta hai.  mujhe jab pehli bar khana banane ke liye bola gaya to meetha hi bnawaya gaya mera sirf itna karne pe sabhi khush hue sab ne mujhe tohfe bhi diye. mere pati ne bhi garv mehsus kar k mujhe dekha. kya sundar wo pal tha.
din guzarte gaye mera us nae parivar mein ghulna milna shuru hua, main khud se sab ko samjhne ki koshish kar rahi thi, lekin kabhi kabhi meri nai maa mujhe kuch keh jaati jis ko main nazar andaaz kar jati, meri nand mujh se na jaane kyu jalan karne lagi thi, mere zara se bhi shringaar karne pe bhi taana maar deti. jab ek din maa se baat karne pe pata chala ki wo bhut bimaar hai to mera mann yaha nahi lag raha tha tabhi sabzi mein namak zayada ho gaya tha. is baat pe meri saas ne garam chaaku meri ungaliyo pe chipkaya tha, mera pati sirf khada apni maa ko aisa karta dekh raha tha. usne dekha ki main kitni pareshani mein hu phir bhi usne ek awaz na uthai. bukhaar tez hone ki wajah se main savere na uth pai to meri saas ne mujhe ghar se nikal jaane ka aadesh dia tab bhi mera pati sirf sunta raha. wo shayad meri sthithi janta hai tab bhi apni maa k samne mere liye ek shabd nahi bola. aaj jab main hospital mein aadha jal chuki hu mere mein zara si jaan bachi hai to mujhe apni maa ke wo shabd yaad aate hai poori duniya mein aisa insaan hai jo har mushkil mein mera saath dega. har dukh taqlif mein mera sath dega wo mera pati hoga lekin main tomuse apne aas paas bhi nhi dekh paa rahi hu. bachpan mein jab gudiya ka biyah rachaya tha to us gudiya mein apna aur guddey mein apne pati ka roop paya tha lagta tha isi tarah hoga mera bhi sasuraal. main jis naaz se apne ghar me pali wohi naaz mere sasuraal mein bhi uthaya jaega. par main to is dasha mein hu . maa ne to mujhe kuch aur bataya tha k waisa hota hai saural lekin mujhe to ab maloom hua k aisa bhi hota hai saural.

© 2017 Lubna


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

184 Views
Added on February 10, 2017
Last Updated on February 10, 2017

Author

Lubna
Lubna

Writing
a lie a lie

A Poem by Lubna


kuch qadam kuch qadam

A Poem by Lubna


teri yaad teri yaad

A Poem by Lubna