wo nahi ho

wo nahi ho

A Poem by Lubna

 wohi subha hai,
 wohi saba hai,
wohi chhidiya cheh cheha rahi hai,
 sab wohi hai bus tum nahi ho.
 wohi phoolon aur, baarish ki khusbhoo bhi hai
 wo mitthi ki mehek bhi hai,
 sab wohi hai bus tum nahi ho.
 wohi nadiyan bhi beh rahi hai,
 wohi koyal bhi gaa rahi hai,
 wohi aasman neela bhi hai,
 sab wohi hai bus tum nahi ho.
aaj subha bhi usi suraj ko chadte dekha,
unhi panchiyon ko ghar banate bhi dekha,
aur unhi patton ko lehlahate bhi dekha,
sab wohi hai bus tum nahi ho.
wohi bhaware bhi phoolon ke rass peete hai,
 wohi nadiyan bhi saagar se jaa milti hai,
indradhanush ke rang wohi hai,
sab wohi hai bus tum nahi ho.
aaj bhi maa ki mamta wohi hai,
baap ki daant mein pyaar wohi hai,
 usi oss ki chamak wohi hai,
par jab sab wohi hai,
to bas tum wo kyu nahi ho?
to bas tum wo kyu nahi ho?
 

© 2017 Lubna


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

sab wohi hai bus tum nahi ho.
wohi bhaware bhi phoolon ke rass peete hai,
wohi nadiyan bhi saagar se jaa milti hai,
indradhanush ke rang wohi hai,
sab wohi hai bus tum nahi ho.
aaj bhi maa ki mamta wohi hai,
baap ki daant mein pyaar wohi hai
BAHOT KHOOBSURAT LINES, WOW!
ABOVE LINES JUST STOLE MY HEART
BEHTAREEN, BAHOT KHOOB

Posted 7 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

114 Views
1 Review
Added on March 4, 2017
Last Updated on March 5, 2017

Author

Lubna
Lubna

Writing
a lie a lie

A Poem by Lubna


kuch qadam kuch qadam

A Poem by Lubna


teri yaad teri yaad

A Poem by Lubna