PAPA VO AAP HAIN

PAPA VO AAP HAIN

A Poem by saksham
"

Dedicated to Dady

"
.......... PAPA VO AAP HAIN...........

Garv hai muje meri mukamiyat par,
Aj andekhe chehre bhi sath hai,
Sach kar dunga Sapna apka ,
Sanjo kar rakh rakha tha muje Papa vo aap hain..

Apna pait kaat kar muje is mukaam tak pahunchaya hai,
Apne har isharo mai unhone hunar apna sikhaya hai,
Jivan jeena kise kehte hain roz batlaya hai,
Zhoont, makkari, haramkhori se door rehna bataya hai,
Maaj kar rakh rakha hai muje Papa vo aap hain...

Rakh ko Rakh hi samzna,
Mitti se khoob khelna,
Hawaiyo mai rehna magar zameen par tairna,
Bado ki izzat ki khatir zhook jana,
Apni izzat par aae tou mit jana,
Acchi tarah se path padaya hai,
Itna samazdar banaya papa vo aap hain....

Mene jo mool mantra sikhe unka aap jaap hain,
Mere chirag ka jin bhi aap hain,
Jo bhi manga usse pehle dila dete hain,
Kharch ho mujse usse pehle kama
Lete hain,
Ek
Jisne muje Banaya Papa vo aap hain....

© 2019 saksham


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

27 Views
Added on June 16, 2019
Last Updated on June 16, 2019

Author

saksham
saksham

agra, uttar pradesh, India



About
a simple hindi poet. more..

Writing