Umeed

Umeed

A Story by Ankahee

                Umeed......

Do saal ke Kareeb ho gae the humein ek doosre ko samjhte hue, jaante hue. Kuch hi dino mein hamari wedding anniversary ane wali thi....

Meri umar kafi ho gayi thi toh bina koi option dekhte hue meine shaadi ke liye haan kar di thi aur Sameer apni wife ki swarg ke baad sahara dhund raha tha. Mujhe bhi shaadi ke naam se chidd machti thi par jaise saal beetin laga ki ek sahare ki zarurat hai...sahara toh mila par rishta nahi.

Kehne ko hum husband wife the par friends ki tarah rehne lage. Roz office jana aakar dinner table par office ka discuss karna aur fir agli subah ke intezaar mein aakhein band karke sone ki koshish karna.

Mjhe bhi yeh space se life ke pace se koi shikayat nahi thi aur shayad Sameer ko bhi nahi...par....par ek umeed zarur thi ki shayad kabhi hum ek dusre ko as a couple accept karenge.

Hamari anniversary se thik 8 din pehle mere office mein ek dinner party thi with family. Mein black chiffon ki saree pehni..Sameer ko black colour bahut pasand tha.

As usual mere office ke colleagues mere sath hasi mazak kar the tabhi achanak se Sameer ne aakar kaha lets go.....baat thi bahut simple lekin hairani wali kyunki kabhi aise behaviour notice nahi kiya tha.

Ghar wapis aakar Sameer ne bola.."mjhe pasand nahi hai jab log tumhe touch karke baat karte hai.." Aksar wives aise baatein sunkar irritate hoti hai but mjhe acha laga...shayad umeed ki dorr mazboot ho rahi thi..

Uss din Sameer mera hath pakad ke soye...shayad iss darr se ki kahin mein Chali na jaun. Par tabhi ek sawaal utha... Ki sach mein koi feelings hai ya Durr jaane ka darr

Lekin uss din khush thi...iss baat ko nazarandaz karke mein so gayi bina subah ka intezar kare.

Breakfast par meine pucha "itna possessive to kabhi nahi hue" usne kahan "kahin fir se akele na ho jaun usse darr lagta hai"

Umeed jab tak bandhi ho tab tak har raat Poornima lagti hai aur jab yeh toot jae to amavas ke badal ghir jate hai.

Mein iss kashmkash mein thi ki Sameer ke iss darr ko mein uske Kareeb aane ki wajah banaun..? Iss umeed par zindagi kaatati rahun?

Anniversary ka din tha..Sameer ne pucha ka ki kya gift chahiye....meine kaha AAZADI

"Kehte hai umeed par duniya kayam hai lekin duniya mein rehne ke liye jeena padta hai aur sachai ke sath jeena jhuthi umeed ke sath jeene se kahin behtar hai"

© 2018 Ankahee


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

127 Views
Added on July 27, 2018
Last Updated on July 27, 2018
Tags: Umeed, aasha, freedom, Short, story

Author

Ankahee
Ankahee

Writing
Intezaar Intezaar

A Poem by Ankahee


Ek Tarfa-5 Ek Tarfa-5

A Story by Ankahee