Ek tarfa

Ek tarfa

A Story by Ankahee
"

Story about one sided love

"

Ek Tarfa….

 

Wo shaam kuch toh alag tha… hawa ka rukh bhi kuch badla hua sa tha…wo apne gaano mein mushroof nahi thi…social networking ka bhi mann nahi kar raha tha uska…kya tha aakhir uss shaam??


Tabhi ek thandi hawa ka jhoka aya aur wo khichi chali gayi uss orr…abhi abhi ek gaadi aakar ruki thi wahan…uski aakhon mein ek chamak si aa gayi thi…WO bahut dino ke baad apne official tour ke baad ghar aya tha.


Wo uska pehla pyar…ji nahi…pehla nahi…usko to na jaane kitni baar pyar ka ehsaas ho chuka tha…kabhi kisi ka kuch pasand ata tha aur kabhi kuch. To Wo uska teesra ya chautha pyar hoga. Toh Mr WO ka naam tha Sahib. Uske saamne wale flat mein rehta tha, CA khatam karke kisi MNC mein job karta tha.Toh inn janab ki muskurahat par fida thi, Preeti. 😊


Preeti ne MA in Economics and fir B.Ed karke ek school mein teacher thi. Jaise hi wo gaadi se utra, uski wahi smile dekh kar Preeti ke hothon par muskurahat aa gayi thi…par yeh kya wo muskurahat bhujne si lagi jab usne ek ladki ko bhi dekha uske sath. One sided love mein yeh unkaha sa dard to kayi baar hota hai aur aadat bhi ho jati…uss raat preeti ko derr se neend ayi.

 

Kal ek  naya savera..naya din aur ek nayi shuruvat. Preeti dekhne mein kuch khaas nahi thi, lekin ek alag si kashish thi uski aankhon mein aur jab yeh uski muskurahat se milti thi to alag sa noor chaa jata tha uske chehre par.

 

“Tring tring..”Saahil ka phone tha. Saahil, preeti ka School and college friend tha. 


Yeh janab, preeti ke second crush mei aate the, leki kabhi kaha nahi usse, kher ab to preeti ko khaas interest bhi nahi tha.


“kya kar rahi hai aaj?”, sahil ne sawal kia.


“yar ek din milta hai aur usme bhi subah subah utha dia”, preeti ne jhalllate hue kaha.


“Acha na so jaana iss ke baad, yeh bata CP chalegi, carnival laga hai wahan”, saahil ne excitement se bataya.

“acha thik hai lekin 1 baje se pehle nahi”, preeti ne jawab dia.


“thik hai to fir milte hai 11 baje, aur sun noor ko bhi lete aana”, saahil ne kaha.


“Acha ji, to yeh program mere liye tha ya noor ke liye…le aungi…bye” preeti ne chedte hue kaha aur phone rakh dia.

 

Noor, preeti ki bachpan ki dost thi aur jitna khoobsurat naam utni hi khoobsurat wo thi. Saahil noor par line maarne se chookta nahi tha aur yeh sab dekh kar preeti ne apna rujhav saahil ke oor se kam kar dia tha. One sided love na jaane kitni baar aise hi mann ke aangan mein dafan ho jata hai.

 

“Hi Madam, good morning, Jaldi tayar ho ja…CP jana hai”, preeti ek saans mein sab keh gayi.

“Arey mohtarma thoda tham jaya kijiye….aapne to ek saans mein sab keh diya…ho jaungi tayar..milte hai 10.30 baje…bye” noor ne jawab dekar phone rakh dia.

 

“Saahil..idhar”, aawaz dete hue preeti ne pukara.

“yeh koi time hai aane ka, pura aadha ghanta late”, saahil ne gusse mein kaha.

 

“Ji humne late kar dia, preeti ko kuch na kahe”, noor ne baat sambhalte hue kaha. Use malum tha uski kehte hi saahil shaant ho jaega.

“aap..ji…mein to bas aise hi…waise saalam, bahut hi khoobsurat lag rahi hai aap,kala tika laga lijiyega”, saahil ne thoda flirt aur thoda sharmaate andaaz mein kaha.

Noor hasi aur sharmaate hue boli “ ji salaam, aap bhi humse Mazak karna nahi bhoolte”.

“are sach mein…” saahil ne masumiyat se kaha.

“Uff allah…agar aap dono ka yun line marna band ho gaya ho to mein chalun?” preeti ne chidte hue kaha.

 

“Are madam, aap hi to sutradhar ho hamari….”saahil ne manate hue kaha.

 

 

“When demand increases and supply decreases, then…”, preeti apne 11std ko padha rahi thi ki tabhi peon ne aakar kaha “Madamji aapko principal sahab ne bulaya hai

“Acha abhi ayi….class please maintain silence”, pretty ne kadak awaz mein kaha aur room ke taraf chali gayi.

 

“May I come in sir?”, Preeti ne pucha

“ohh preeti, yes please come in, sit down, I have an offer for you”

“Offer??”

“yes there is a competition in bangalore and you have to take students “

“But sir, I have never been to Bangalore, how will I manage?”

“I know preeti, you can do it”

“Ok Sir, I will try”

“Great you have to leave tomorrow evening. It will be 15 days trip”

“Ok sir, thank you”

Preeti khush bhi thi aur udaas bhi kyunki kal saahil ka bday tha aur wo uske bday miss kar degi.

Dopahar ko ghar jakar preeti Purple colour ki strips wali shirt ko gift wrap karne lagi,aur socha ki kal school se seedha Saahil ke office jakar present kar dungi aur wahan se Station.

 

 

“Hi Saahil, Happy Birthday, I will be coming to your office in 10 minutes” Preeti ne SMS kia but as usual network failure ka message aya.

“Oho yeh network bhi na…kher office pahunch kar surprise de dungi”, preeti ne socha aur uske office ke liye nikal gayi.

“Hi I want to meet Mr Saahil”, preeti ne receptionist se kaha.

“Ya sure Mam, please make an entry”

“Aiye madam, sahib abhi cafeteria gaye hai…unka birthday celebration hai na”, guard ne kaha.

“Acha fir mein yahin wait karti hun aap please usse bula lijiye”., preeti ne gurad ko bola.

 

 

“Happy Birthday to you…..you are looking so smart saahil”…

“Ohh thanks Priya you are also looking gorgeous”, saahil ne apni colleague Priya se kaha.

“Sirji aapse aapki dost milne aayi hai”, guard ne unki baat ko kaate hue kaha,

“Saahil sir se milne dost…wo bhi ladki …kya baat guru tum toh chaa gaye”, saahil ke colleague ne usko chedte hue kaha Priya ke saamne.

“Priya sorry bas abhi aya..tum yahin rehna”, Saahil ne Priya ko bola.

 

Saahil wahan se gusse mein badbdate hue gaya aur socha ki pakka preeti hi hogi…kya zarurat thi usse aane ki..saara maza kharab kar dia.

“Preeti, tum shaam ko bhi to aa sakti thi, abhi aana zaruri tha kya…sabke saamne embarrass kar dia…and now people will start teasing me because of you and please tumhare naam se tease nahi hona.

Anyways tum abbhi bhi yahin ho…bola na shaam ko milte hai jao yahan se”, saahil ne ek sath sab gussa nikaal dia preeti par.

Preeti sir jhukaye sabse nazare churaye wahan se seedha station chali gayi. Aaj hi to usne apne bangalore trip ke baare mein saahil se batana tha.

 

Bina aasun bahaye, bina kuch bole wo station pahunchi. Family aur noor ko bye bolkar, students ko settle karke, window seat ke pass beth gayi.

Neend aane ki koshish mein thi lekin kanno mein gunjte hue saahil ki aawaz …wo teekhe shabd..lagataar chilla kar yehi zaahir kar rahe the ki shayad se saahil ke sath yeh mulakat aakhri hogi.

Uss raat preeti ko neend nahi ayi, puri raat wo bitaya 5 minute saahil ke sath uske dil dimaag par chaa gaya tha.

 

“chai chai….garam chai”, chaiwale ne awaaz lagayi.

“Mam, tea?”, students ne pucha

“No thank you, puch lo baki students se, I will pay”

Aaj students bhi hairaan the, itni strict teacher aaj itni gumsum kyun hai.

Preeti ke aaknhon ke wo aasun ab tak chalke nahi the balki laal chavi bann kar uski naino mein sama gaye the.

 

“kyun aasun bahaun” yehi soch kar wo aaksh tham jaate the.

“Mujhe toh malum hi tha, ki wo aisa hi hai, kisi bhi lakdi ko dukhi nahi dekh sakta lekin mjhe hurt karne se pehle ek baar bhi nahi sochta”

“Shayad hamesha hass ke taal deti hun isiliye usse kabhi ehsaas hi nahi hua”

“har muskurahat mein gam aashiyana na ho, yeh zaruri to nahi”, bas yehi sochte hue preeti ne faisla liya “No more Friendship…jisko meri kadar nahi ….uske sath mein kyun rahun?”

Itna socha hi tha ki raat bhar ki neend puri karne preeti ne aakhein band kar li.

            ….to be continued.

 

© 2018 Ankahee


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

213 Views
Added on November 13, 2018
Last Updated on November 13, 2018
Tags: fiction, love, sided, one, story

Author

Ankahee
Ankahee

Writing
Intezaar Intezaar

A Poem by Ankahee


Ek Tarfa-5 Ek Tarfa-5

A Story by Ankahee