Alvida

Alvida

A Poem by Ankahee
"

Short poem

"
Jinn hathon ne bada kiya mujhe
Aaj wahi karengi ruksat humein...

Na jaane kab aayenge wo jazbaat unmen
Na jaane kab honge yeh aansun kam...

Koi na samjha mere iss dard ko
Na hi koi samajh payega...

Ab jab chali hun iss duniya se
Tab kyun hai sab ki aankhen nam...

Jis pathar par tha vishwas mera usi se jakar puchungi ab
Ki kyun banaya tune insaan jab hewaniyat ka zeher peena tha usne....

Aaj maangti hun insaaf apne iss qurbani ka
Khali na jaane dena mera yeh balidan......

Na karna alvida mujhe
Jeene dena mujhe apni inn yaadon mein..

© 2018 Ankahee


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

68 Views
Added on December 23, 2018
Last Updated on December 23, 2018
Tags: Poem, humanity, sacrifice

Author

Ankahee
Ankahee

Writing
Intezaar Intezaar

A Poem by Ankahee


Ek Tarfa-5 Ek Tarfa-5

A Story by Ankahee