Meri Khamoshi (A True Love Story)

Meri Khamoshi (A True Love Story)

A Story by Muhammad Bilal
"

Ye kahani us larki ki hy jo apnay pyaar ko khonay ky baad bhi aik aas or umeed liye hy ky shyed uska pyar wapis aa kr usay apna ly, is kahani mein us larki ki tmaan dukhbhari daastaan hy...

"

Khamoshi… kaha jata hy ky khamoshi insan ki izzat or waqar ko brhanay mein aik ehmm kirdar adda krti hy, kiun ky khmosh tbiyat insan soch smjh kr baat krta hy or usky munh sy fazul baat nahi niklti jis ki wja sy log uski izzat kraty hain… lekin aik aam baat hy ky kisi chez ki bhi aik mekhsos had sy zyadti nuksan dehh ho skti hy…

          Ye kahani aisi hi khamoosh tbiyat 16 saal ki aik larki ki hy, uska naam Hira hy, ghar mein to wo kafi shararti or dichasp thi, lekin apni class mein boht km bolti thi, hmesha akeli chup chaap baithi rehti, na apni class ki dusri larkion sy khelti, na hi uski un sy zyada dosti thi. Uski ye khamoshi uski English ki teacher Miss. Anila kafi arsa sy dekh rhi thi, wo aksar koshish krti ky wo bhi dusri larkion ki trah khele or ghoomay phiray lekin wo akeli hi rehti. Akhir aik din uski teacher ny Hira ko akele mein bulaya…

Miss. Anila: Hira main kafi arsa sy dekh rhi hun ky tum bilkul alag thalag or khamosh rehti ho, iski koi khaas wja ya koi msla? Agr koi msla hy to tum mujhay bta skti ho, shyed main tumhari kuch madded kar skun?

Hira: Nai Mam, problem to koi nahi, main bachpan sy hi aysi hun, mujhay zyada batein krna pasand nahi…

Miss. Anila: acha chlo choro, ye btao ky kya tum mujh sy dosti kro gi?

Hira: (Kuch lamhaat sochnay ky baad) Han zrur mam kiun nahi…

Miss. Anila: Good, to tum mujhay class ky bahir sirf Anila kehna, or jb bhi tum free ho or main bhi free hun to aa jaya kro mere pass…

Hira: theak hy mam, oh sorry Anila…

          Hira aik achay gharanay ki larki hy, usky dad dubai mein kaam krtay hain, ghar ky halat bhi khushhal thay, or Hira 10th class ki talib-e-ilam thi, Dikhnay mein dubli patli, boht cute lgti hy or uski khamoshi or sadgi usko or bhi khubsurat bna dyti hain, ghanay baal jin ko wo aksar khula chor dyti. Lekin wo poranay khyalat ki larkion ki trah rwaiti libas pehn kr bilkul hi sada si rehna pasand nahi krti, wo modern kapray pehnti hy lekin tahzeeb ky andr rehtay hoe, ta’ky koi us pr ya usky ghar walon pr ungli na utha skay, usay larkon sy dosti krna or pyar sy sakhat nafrat thi, or wo in sbb ko boht bura smjhti thi isi liye wo larkon sy boht km baat krti thi…

          Class mein dono teacher or student ki trah hi rehtien, or class ky bahir dono boht achi friends thien, Hira class ky bahir har wakat Anila ky pas hi rehti, dono ki dosti din-ba-din gehri or gehri hoti gyi or akhir wo din aaya jb Hira matric ky papers dyny ky baad school chor kr chali gyi.

          Dono ki dosti itni gehri thi ky ab wo aik dusray ko miss krti thien or dono bohat udaas rehtien, kuch arsa baad aik din Anila Hira ky ghar ayi, Hira usay dekh kr bohat khush hoi or usay glay lgaa liya, phir Hira usay kamray mein ly gyi or chai wgaira ky baad dono batain krny lg gyien…

Hira: itnay arsa sy main ap sy nahi mili, boht         miss kiya apko.

Anila: main ny bhi tumhain boht miss kiya, kaash tum school sy na jati…

Hira: meri bhi majburi thi kya kr skti thi ab Matric complete ho gya to school chorna pra…

Anila: acha to aj kal kia kr rhi ho? I mean studies mein?

Hira: F.A kr rhi hun…

Anila: Great phir mere pas aik plan hy jis sy tum dobara school mein aa skti ho or hum pehly ki trah akathi reh skti hain…

Hira: wo kysy?

Anila: tum bhi school mein parhanay lg jao, tumhain wahan teacher ki job dilwana mera kaam hy…

Hira: (kuch dair sochnay ky baad) theak hy main krun gi…

          Anila ko ye sun kr boht khushi hoi, or usny Hira ki job bhi pakki krwa di. Hira ko ghar walon sy bhi aasani sy hi ijazat mil gyi or wo aglay din apnay hi school mein pehli bar teacher bn kr janay ky liye khud ko tyar kr rhi thi…

          Agli subah Hira time pr school pohnchi or sidhi apni dost Anila ky pas pohnchi jo ky aik class mein parha rahi thi, class mein pohnch kr wo Anila sy kuch baat krny lgi itnay mein aik larka Farhan bola, madam new teacher sy introduction nahi krwayen gi? Anila ny phir Hira ka class sy introduction krwaya or btaya ky ye bhi ab yahan hi prhaye gi, is doran wo larka Farhan Hira ko hi ghoor raha tha, Hira ny is baat pr zyada goar nahi kiya, or kuch dair baad Anila Hira ky sath gyi or usay class mein chor ayi or Hira ny wahan parhana shuru kiya…

          Hira roz school jati or Anila ky sath wakat guzarnay ky sath sath wahan parhati bhi. Hira jis class ki teacher thi wo class us class ky bilkul samnay thi jis mein Farhan tha. Hira jis din sy school mein parhana shuru hoi thi wo is baat pr goar kr rhi thi ky Farhan ka dehan aksar usi pr hota, wo usay hi ghoorta rehta or class mein uska zra b dehan na hota, Hira kuch din tk to ye sab dekhti rahi phir usny apni dost Anila sy bahanay sy kaha ky class ka darwaza band kr diya kro bachon ka dehan bahr rehta hy to unki parhai ka nuksan hota hy…

          Aglay din sy Anil any class ka darwaza band rakhna shuru kr diya lekin Farhan kisi na kisi bahanay sy class ka darwaza khulwa dyta or Hira ko dekhta rehta. Uski ye harktain Anila us din sy goar kr rhi thi jb sy Hira ny usay class ka darwaza band rakhnay ka kaha tha, or wakt ky sath sath usay ye baat pkki ho gyi ky ye uska wehm nahi hy, lekin wo khamosh rahi kiun ky uska in sabb sy koi taluk jo nahi tha…

          Aik din Anila ki class mein bachay boht km thay to Anila ny us din nahi parhaya or bachay tang na krain is liye us ny unsy kaha ky koi game kheltay hain, or game aap log soch lo kon si khelni hy, sb ny apni apni raye btayi, Anila ko aik bachay ki “Truth or dare” game ki raye pasand ayi ( Is game mein koi cheez jysy Bottel wgaira ko table pr rakh kr ghumaya jata hy or sb log us table ky gird dairay mein baith’ty hain, bottle jb ghoom kr rukti hy to jis shakhs ki traf uska munh hota hy us sy poucha jata hy Truth or Dare, agr wo truth keh dy to us sy job hi poucha jaye uska usay such such jawab dyna parta hy or agr dare keh dy to usay jo kaam diya jaye wo usay krna parta hy), Game shuru ho gyi, kuch dair baad Farhan ki bari ayi, to usny Dare kaha jis pr Anila ny usay kaha ky wo jisko kuch kehna chahta hy ja kr usay apny dil ki baat khay, usny ye baat jan bojy kr kahi kiun ky wo janti thi ky ye Hira ko pasand krta hy, Farhan wahan sy uth kr chal pra or sidha Hira ki class ky darwazay pr pohnch kr darwazay pr dastak di…

Farhan: (Thodi unchi awaz mein) Excuse me mam aik minute ky liye bahir ayen gi please?

Hira: Excuse me bacho main ati abhi ayi aap sb agay ki lines ko read kro… (Hira class sy bahir aa kr Farhan sy mukhatib hoi) Han kaho kia baa thy..

Farhan: Main aap sy kuch kehna chahta hun lekin (Jhijaktay hoe) …lekin mujh mein itni himmat nahi thi aj socha keh hi dun shyed phir kbhi moka milay na milay, main apko bohat pasand krta hun…

Hira: (Hira ko isi baat ki umeed thi or usny aysy andaz sy usay jawab diya jysy is baat ka Hira pr koi asar nahi pra) Jao apni class mein…

Farhan: (Hira pechay murr kr class mein janay lgi) Sorry mam apko bura lga ho to, hum Game khel rhay thay to mujhay apny dil ki baat btani pri…

          Hira ny koi radeamal zahir na kiya or chup chap class mein chali gyi, Farhan bhi afsurda ho kr wapis chala gya. Ye sb batain Anila pass chup kr sun rahi thi…

          Usi din Anila ny Farhan ko staffroom mein bulaya jb wo wahan akeli thi…

Farhan: G mam ap ny mujhay bulaya?

Anila: han, aa jao andr…(wo paas aa kr khara ho gya) baitho…

Farhan: G mam kia baat hy?

Anila: Kal tum ny Hira ko kia kaha?

Farhan: Sorry mam…(Or sir nechay jhuka liya)

Anila: Kia tum such mein usay pasand krtay ho?

Farhan: G mam, lekin wo mujhay pasand nai krti…

Anila: Acha to ye baa thy…

Farhan: (Ab uska darr thoda khtm hoa) kya aap kisi trah meri us sy dosti krwa skti hain?

Anila: Han main koshish kr skti hun, agay tumhari kismet…

Farhan: Thank you mam apka bohat bohat shukriya…

          Aglay din Anila or Hira jb staffroom mein akeli thien to Anila ny Hira sy is mutalik baat shuru ki…

Anila: Hira wo Farhan kal tumhain kia keh raha tha?

Hira: Kuch nahi…

Anila: Hira mujh sy to jhooth na bolo main to tumhari sb sy achi dost hun na…

Hira: wo pagal ho gya hy, mujhay dosti ka keh raha tha…

Anila: to tum ny kia kaha?

Hira: tumhain to pta hy mujhay ye sb pasand nahi to main ny inkar kr diya…

Anila: Phr bhi tumhain usay aik moka dy kr to dekhna chaiye mujhay to wo acha larka lgta hy,

Hira: choro bhi kya faida?

Anila: kal ko tum ny bhi to shadi krni hy, abhi sy dekh lo koi acha larka, agr ye Farhan tumhain pasand na aya to bhga dyna isko, kon sa tumharay sath koi zabrdsti hy…

Hira: Theak hy tum kehti ho to, lekin sirf dosti or kuch nahi…

Anila: Han ye hoi na baat…

          Anila ny Farhan ko bulwaya….

Farhan: G mam ap ny bulaya… (Hira ki traf dekhtay hoe Anila sy mukhatib tha)

Anila: Han to btao ky tum Hira sy kiun dosti krna chahty ho?

Farhan: Mam, Hira boht achi hain or boht hi khamosh tbiyat hain isiliye main in sy dosti krna chahta hun… (Hira sy mukhatib hotay hoe) btaiye Hira g kya ap mujh sy dosti krain gi?

Hira: Hmm, lekin sirf dosti…

Anila: Good, to aj sy tum dono friends ho, or han Farhan Hira ko tang mt krna…

          Shuru shuru mein to Hira us pr itna dehan nahi dyti thi, sirf usay aik aam larka smjh kr brtao krti, lekin Farhan kuch zyada hi ashiqon ky dimagh wala tha, wo to wakat dhundh raha tha ky kb wo Hira ko perpose kray, lekin Hira ki ye baat ky mujhay dosti or pyar wgaira sy sakhat nafrat hy usay bar bar sochnay pr majbor krtien or wo khamosh ho jata or dil ky armaan dil mein hi reh jatay. Lekin wakat ky sath sath Hira bhi us mein dilchaspi lyny lgi…

          Aik din Hira jb class mein parha rahi thi to Farhan ny usay bahir bulaya, Hira bahir ayi or us sy poucha ky kyaa baat hy

Farhan: Kuch nahi bs tum sy baat krny ko dil kr raha hy…

Hira: acha mujhay pta chli hy tumhari aik baat…

Farhan: Kon c baat?

Hira: ye hi ky tumhain meri dost sy pyaar hy or tum usay perpose krny walay ho…

Farhan: Nahi to, mera mtlb ky adhi baat tumhari theak hy, pasand to main krta hun aik larki ko pr wo tumhari dost nahi hy, main usay boht jald perpose bhi krny wala hun…

Hira: acha g phir to bohat achi baat hy…

Farhan: Hira apna mobile number to do…

Hira: Uski tumhain kia zrurat pr gyi?

Farhan: Waisay hi, Shaam ko baat kr liya krain gy…

Hira: Baat krni hoti hy to din ko kr liya kro yahan hi hoti hun main, number rehnay do… (Or wo dobara class mein chali gyi)

Farhan afsurda sa chehra bna kr chala gya, Hira ny un sb ko mna kr k rakha tha ky jin jin ky pas Hira ka num tha is liye koi bhi usay num nahi dy raha tha…

          Behrhaal aglay din Hira school nahi ayi kiun ky usky Mamu ki tbiyat khrab thi or sb ghar walay unka pta krny gye thay, raat wo wahan he rukay is liye Hira aglay din School parhanay nahi ja ski. Jb Hira apnay mamu ky ghar sy wapis aa rhi thi to rastay mein usko aik anjan number sy SMS aya, pouchnay pr usny btaya ky wo Farhan hy, or usny Hira ka num Anila sy liya hy, is baat pr Hira kuch gusa hoi to Farhan ny usay kaha ky Anila sy kuch na khay….

          Isi trah aihsta aihsta msgs pr thodi boht baat cheet shuru ho gyi, roz raat ko thodi dair baat hoti, kbhi life pr kbhi School ky baray mein…

          School mein bhi ab unki dosti kafi barh rhi thi, or wo kafi kareeb aa gye lekin ab Anila ko achanak unsy jalan si hona shuru ho gyi, wo unko hasad ki nazar sy dekhti. Or aksar main ny ye hi dekha hy ky jo shuru mein kisi khushi ko insan tk pohnchanay mein maddad krta hy aksar usi ki wja sy wo khushi us sy dur ho jati hy…

          Aik din Hira apnay ghar walon ky sath park mein ghoomnay gyi, mosam bhi bohat pyara tha, kuch dair ghoomnay ky baad wo thodi thak gyi or aik traf bench pr baith gyi, tb usny apna mobile nikal kr dekha to Farhan ka SMS aya hoa tha…

Farhan: Hello….

Hira: Sorry… Main ghoom rhi thi to pta nahi chala tumhary message ka.

Farhan: Koi baat nahi, kahan ghoom rhi ho?

Hira: Park mein ayi hoi hun ghar walon ky sath. Tum kya kr rhay ho?

Farhan: bs tumhari yaad aa rhi thi to tumhain message kr diya.

Hira: Acha to kis topic pr baat krain?

Farhan: Hmm, love ky topic pr baat krty hain…

Hira: Tumhain pta hy ky mujhay ye topic pasand nahi.

Farhan: To thek hy ye hi bta do ky kiun tumhain pyar sy nafrat hy?

Hira: Mujhay is liye pyar acha nahi lgta kiun ky aaj kal sucha pyar bohat km milta hy, har koi frowd or dhokha hi hy, pehlay to khuyalon mein sb Jannat ky bagaat dikhatay hain lekin phir akela chor jatay hain, pyar ho to aysa ky martay dm tk sath dy.

Farhan: Agar tumhain aysa pyar milay jo martay dam tk sath dy to?

Hira: to shyed mein accept kr ln…

          Tb Hira ko ghar wapis jana to baat wahin rok kr wo chali gyi, usi din sham ko Farhan ny phr usay SMS kiya…

Farhan: Hello…

Hira: hy… kya haal hy?

Farhan: Itni jaldi kon sa haal bdal jata hy?

Hira: Bdal bhi jata hy kbhi kbhi….

Farhan: Dophr ko tum baat darmiyan mein chor kr chali gyi thi…

Hira: Han tb jana tha mujhay ghar to is liye, abi complete kr dyty hain…

Farhan: han to main keh raha tha ky agar koi tumhain itna pyar krny wala mil jaye jo martay dam tk sath dy to kia tum accept kr lo gi?

Hira: Han Shyed…

Farhan: To main kehna chahta tha, ky Hira main to dil sy chahta hun or main martay dmm tk tumhara sath nibhaun ga, tum mujhay bs aik moka dy kr dekho, main tumhain duniya ki har khushi dun ga…

Hira: Sorry, pr main tumhain sirf aik dost smjhti thi…

          Lekin Hira is baat sy bohat khush thi, wo bhi usay chahti thi lekin usay tang krny ky liye usny aysa kaha tha, wo dekhna chahti thi ky aysa kehnay pr wo kia krta hy?

          Aglay din School mein Farhan munh latka kr phir raha tha, Hira ka dehan bhi aj usi pr tha wo bar bar usay dekhti, lekin us din school mein unki koi baat cheet nahi hoi kiun ky Farhan ny Hira ko perpose kiya tha to usny inkar kr diya wo is baat pr afsurda tha or Hira ny koi baat is liye nahi ki ky kahin dobara ye hi topic shuru na kr dy, phir usay kia jawab dun gi?

          Behrhaal usi din sham ko Hira ny usay msg kiya…

Hira: hello…

Farhan: Hi, Sorry wo kal main ny tumhain aysa kaha….

Hira: nahi sorry kiun keh rhay ho? Main aj tumhain kuch btana chahti hun…

Farhan: Han btao…

Hira: Main bhi tumhain bohat chahti hun…

Farhan: Such mein? Phir kal tum ny wo sb kiun kaha?

Hira: wo to main tumhain sirf tang kr rhi thi…

Farhan: Thank God tum maan gyi warna mera to kal sy soch soch kr bura haal ho raha tha…

Hira: Sorry…. Kal Anila ky samnay mujhay perpose krna…

Farhan: Theak hy koshish krun ga…

          Us raat Hira ko khushi ky maray neend nahi aa rhi thi, us ky liye wakat guzarna mushkil ho raha tha, wo Farhan sy milnay ko betab thi, akhir jysy tysy raat guzri or Hira school pohnchi, school mein Hira ny us sy boht batain kien jysy pehli baar mili ho, or din ba din unka pyaar bohat barh gya, Hira ab us ky bgair aik din bhi mushkil sy guzarti thi.

          Us din jb Hira School sy wapis ayi to usay aik dil dehla dyny wali baat pta chali ky Hira ko dekhnay aj unky kuch relatives aa rhay hain, usay jb uski mama ny ye baat btai to Hira ki ankhon mein aansu aa gye, aaj tk usny kisi larkay sy khul kr baat tk nahi ki thi tb kbhi aisa kuch nahi hoa or ab jb ky wo kisi sy itna pyaar krti hy to usky maa bap usay kaheen or shadi krny ky liye keh rhay hain. Uski mama ko kuch shak sa hoa to uski mama ny us sy pyar bhray lehjay mein poucha to usny apni mama ko sb such such bta diya, uski mama ny kaha ky fikr na kro kuch krti hun main. Is baat sy Hira ko kafi hosla mila or ye umeed bhi ky ab unki shadi ho he jaye gi.

          Us din to uski mama ny rishtay ki baat taal matol kr ky mehmano ko bhej diya or Hira sy kaha ky mujhay us larkay sy milwaye. To Hira ny kaha theak hy kal subah milwa dun gi, Hira is baat sy boht khush thi lekin sath hi sath usay ye bhi darr tha ky agr mama ko Farhan pasand na aya to kya hoga?

          Behrhaal agli subah Hira apni mama ky sath kuch jaldi school pohnchi or wahan apni mama ko Farhan sy milwaya, Hira ki mama ko bhi Farhan acha lga. Hira ki mama ny kaha ky mujhay to tum achay larkay maloom hoe ho, apni study pori kr lo phir main tumharay ghar walon sy baat kr ln gi. Is baat sy dono kafi khush thay.

          Lekin ab Anila un sy boht jalnay lg gyi thi, har wakt jb un ko sath dekhti to usay unsy hasad or janlan hoti, aihsta aihsta ye sb nafrat mein badal gya to usny undono ky aik dusray ky khilaaf kaan bharna shuru kr diye, lekin wo aik dusray pr itna bhrosa krtay thay ky Anila ki ye harktain unhain dur na kr skien, lekin aihsta aihsta Hira ko is baat ka pta chal gya to Hira ny Anila sy dosti khatam kr di.

          Dosti khtm hoe abhi kuch din hi guzray thay ky School mein garmion ki chuttiyan ho gyien to Hira or Farhan ka milna julna bhi khatam ho gya, sirf phone pr hi baat hoa krti lekin mulakat na ho pati, dono aik dusray ky bgair aik din mushkil sy guzartay thay or ab to 3 mahenay ki chuttiyan thien to 2no ny is baat ka aik hal socha, hal ye tha ky computer course kiya jaye, aik to mulakat bhi hoti rhay gi or dusra faida ye ky computer course bhi ho jaye ga…

          Hira ko bhi ghar sy ijazat mil gyi or Farhan ko bhi to dono ny computer course ky liye aik acadmy join kr li, Dono rozana academy jatay or wahan mulakat hoti.

          Isi trah wakat guzarta gya, dono kbhi kbhar ghoomtay phirtay bhi or kafi enjoy krtay… phr kuch arsa baad Farhan ny apni mama ko Hira ky mutalik sb kuch btaa diya to uski mama ny usay kaha ky meri Hira sy bat krwao, Farhan ny apni mama ki call pr Hira sy baat krwai to Farhan ki mama ny us sy kuch batain kien or phir kaha ky apni mama sy baat krwao or phr uski mama sy kaha ky main apki beti ko dekhnay aa rhi hun…

          Aglay Din Farhan ki mama or behan Hira ky ghar ayien or us sy or uski mama sy milien, Farhan ki mama ko Hira bohat pasand ayi or unhon ny Hira ko hosla diya or kaha ky main Farhan ky papa sy baat krti hun, or koshish krun gi ki wo is rishtay ky liye maan jayen, kiun ky agr tum meri bahu bno to mujhay bohat khushi hogi…

          Ab Hira ko is baat ka besabri sy intizar tha ky kb uski or Farhan ky Rishtay ki baat pkki ho, wo boht Hiraen krti. Lekin boht jald usay aik aysi khabar mili jo sn kr usky paon ky nechay sy zameen khisak gyi, uski ankhon ky samnay andhera sa chaa gya, usay ye khbar mili ky is rishtay sy Farhan ky Papa or bhai ny saaf inkar kr diya, or unhon ny Farhan sy Mobile bhi ly liya ta’ky wo Hira sy koi raabta na rakh skay, Farhan ny school jana bhi chor diya…

          Is baat sy Hira to bilkul jysy jeena bhool gyi, or Farhan bar bar kuch na kuch ulta sidha krny ki koshish krta, bar bar khudkhushi ki koshish krta, Hira ko jb is baat ka ilam hoa to wo bohat preshan ho gyi or usny ye sochna shuru kr diya ky kysy wo usko ye sb krny sy rokay? Wo kuch aysa krna chahti thi ky Farhan ko us sy nafrat ho jaye, Akhir usky dimagh mein kuch baat ayi to usny Farhan ki mama ko call ki or un sy kaha ky aap ny rishtay sy to boht jald mnaa kr diya, apko meri izzat ka koi khyal nahi tha jb aap ny rishtay sy inkaar kiya? Aap ky byty ny meri zindgi barbad krdi usny meri izzat sy khela hy, or Hira ny rotay hoe call band kr di, wo ye galat kadam uthana to nahi chahti thi lekin ye uski majbori thi ky usay aysa krna pra, usky baad wo bohat roi, kiun ky jis sy wo had sy zyada pyar krti thi aj us ny usi pr aysa ilzam lgaya.

          Farhan sy jb uski mama ny is mutalik poucha to wo gussay sy laal peela ho gya or usny apni mama ky ser ki kasam uthai ky usny Hira ky sath kuch bhi ulta sidha nahi kiya, or phir usny Hira ko phone kr ky bohat bura bhala kaha, Hira bs khamoshi sys b kuch sunti rahi or roti rahi, Farhan ko us din sy Hira sy nafrat c ho gyi, or usny Hira sy dobara kbhi raabta nahi kiya…

          Hira andr sy bilkul toot chuki thi, kiun ky ab wo koi umeed bhi nahi rakh skti thi ky wo Farhan sy mil skay gi, Usky masoom chehray pr jo khushi jo muskurahat hoa krti thi wo jysy gayb hi ho gyi, aksar tanhai mein baith kr wo ghaton roti thi. Hmesha apnay ghar walon ko apni ulti sidhi shararton sy khush rakhnay wali Hira ab bilkul murjhaa gyi thi, or aysa akhir kb tk rehta, aihsta aihsta wo bhi apni jaan ki dushman bnn gyi, bar bar apni jaan lyny ki koshish krny lgi to majbooran usky ghar walon ko ab usay school parhaanay sy bhi rook kr ghar ky andr apni nazron ky samnay rakhna pra…

          To ye thi us Masoom Hira ki Suchi kahani. Aj Hira to Farhan sy Dur hoe 6 mahenay guzr chukay hain Farhan ny kbhi us sy raabta krni ki koshish nahi ki, or Hira jga jga usky aanay ki umeed ly kr uska intzaar krti rehti hy, wo ye soch soch kr andr hi andr ghut’ti rehti hy ky usny Farhan ky sath galat kiya or usay Farhan sy mafi mangi chahiye, or is mein wo meri madded chahti hy, lekin kuch sawal mujhay boht preshaan krtay hain, agr aap mein sy koi bhi mujhay in sawalon ka jawab dy dy to main Hira ki madded kr ky usay uski sahi manzil tk pohncha skta hun…

~~~Kya Hira ka Farhan pr ye ilzaam lgana thek tha?

~~~Ye ilzam to usny Farhan ki hi bhlai ky liye lgaya tha to kya usay Farhan sy mafi mangni chaiye?

~~~Meri nazr mein Farhan boht kabil insan nahi hy, uski taleem bhi sirf 8th class tk hy, jb ky Hira aik parhi likhi larki hy, ye baat amlli zindgi mein boht asar andaz ho skti hy, kya apko lgta hy ky Farhan Hira ky liye thek larka hy?

~~~ Agar kisi trah Hira ko uska pyaar mil jaye to kya wo usky sath har trah sy aik khushaal zindgi guzar paye gi?

Writer: Muhammad Bilal KS
Email: [email protected]
Cell: (+92) 3205084205
(+92) 3219803056
Facebook:  https://www.facebook.com/muhammadbilal.ks

 

 

 

Share Your Own Story With Me To Be Written Here

 

 

 

© 2015 Muhammad Bilal


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

2783 Views
Added on January 13, 2015
Last Updated on January 13, 2015
Tags: Meri Khamoshi, Khamoshi, Dua, Anila, Love story, Urdu, Novel, True Story

Author

Muhammad Bilal
Muhammad Bilal

Rawalpindi, Asia, Pakistan



About
I am a Novel writer and also a student. I started writing novels because i always believed that thinker is the best achiver,... more..

Writing